Raju the real real virus boy

hmm Raju Mohanta i always confused boy !!!

Wednesday, January 2, 2013

Teri Yaad Ke Liye




Teri Yaad ke liye mere paas bahut thikane hain,
Na jaane mulakat ke kitane bahane Hain !


Ho kasti samundar me to kinare to tarste hain,
Beech sagar me ham us paani to talashte hain !



Hoash nahi fir bhi ham ghazal Likhate jate hain,
Ye shabd hi meri Manzil ko kinare pahuchate hain !
_______________


Safar yeh zindagi ka,
jaana sa kuch anjana sa,
kaise moad dikhlata hai,
ek taraf khushi toh dursi taraf nirasha,
ek dost khush toh dusra dukhi,
vidambana toh dekho meri,


na khush ho sakta hun na hi dukhi,
kaise moad pe pahuch jati hai zindagi,
afsos karne ka mauka bhi na deti ye zindagi,
pariksha ke badal chhatne ka nam na lete,
mujhe apni dosti nibhane ka mauka na dete,
ae dost mauka toh de mujhe,
is daur ko sambhalne ka,


sab khushiyon ko fir se sametne ka,
milkar sath agar khushiyan baanti hai,
toh milkar saath gam bhi baatenge,
ye daur hoga fir khatam,
jab hogi ye raat khatam,
thaam le ye hath intezar kis baat ka
maan le meri baat tujhe darr kis baat ka…
_____________


Afsana bayan karti hai yeh hatho ki lakir
jeevan ka lekhajokha bayan karti hai lakir,
har insan ki pehchan banati hai yeh lakir
uska maargdarshan karti hai yeh lakir,
kabhi gaur se dekhu toh kabhi dhyan se dekhu,
kabhi aayine main dekhu toh kabhi mann se dekhu,
hazaaro rekhao ki relampel kahu ya bhulbhulaiya,
jeevan ke har ansh ko jodti kadiya kahu ya fir
kismat ki jeevani,


anek naamo ka hai yeh afsana lakeero ka,
kuch jana toh kuch anjana sa,
jazbaato ka toofan kahun ya khushiyon ki baarish,
lakeero ka khel hai nasamajh ki samajh ke parre,,
khushiyan sanjoye rakhegi ye lakeer,
karti rahengi salaam yeh toh karo na karo yaad inko…






Meri Zindagi kuch azeeb hai,

us vidhata ki daen hai,

par mere jeevan ki yeh pehchaan hain,

dikhne mein aasan hai yeh,

teri drishti ka bhram hai yeh,

jalte hue kaagzo ki nirmam vyatha hai yeh,

jaane kitne raaz yeh samete hue hai,

aapsi mithas aur dosti ki chaashni,

rangti hai meri zindagi dosto ki yaadon se,

masti ke palo mein magnn hai dost,



par mera mann vichlit rehta,

samay ki keemat samajhta hun mein,

apno ki aapbeeti ka saakshat vivran hun mein,

haan, yahi hai wo baat jo banati hai alag meri zindagi,

karna chahun mein yeh bayan toh kar nahi sakta,

jeevan kam padh jayega,reh jaayegi baat adhoori,

chalna hai abhi bahut door,karna hai sapna sach,

kehlaunga mein bhi kuch alag,kehlaunga mein bhi kuch alag :)

_________________________


Socha na tha ke kabhi aisa moad bhi aayega
jo puri takdeer badal daalega
jeeta raha mein toh us khwab ko mann mien sanjoye,
karta raha khoon paseena ek usko sach karne mein,
par maloom na tha ki yeh bhi kaafi nahi manzil paane ke liye,
dil masos kar reh gaya aur karta bhi kya ?
shayad kismat ko yahi manzur tha
talashta hun ab un palo ko dil k tukdo mein,
jo chal rahe hai ussi raah par,
kaash unhe wo jeet mile jo mein naa dekh saka,
wo khushi wo junoon bas yahi sochta hun ab …
________________________________


Rishtey bante hai anjaano se,

naye kal ki shuruat hoti hai ujale se,

karna padhta hai intezaar sacche rishto ke liye,

nibhana padhta hai usse jivant rakhne ke liye,

kacche dhaago ki dor mat samajhna isse,

rakhi ke bandhan sa majbut hota hai yeh,

logo ko jodne wali kadi hai ye,

mazbut neev rakhni padhti hai hame,



jivan bhar nibhane ke liye,

sukh dukh ko baant te hai rishtey,

galatfehmiyo ka shikar hote hai rishtey,

karne padhte hai jatan isse jeevant rakhne ke liye,

thoda aap koshish karo thoda ham..
________________________



Kuch meethi kuch khatti teri yaaden hain
Kuch meethi kuch khatti teri yaaden hain,
Tere saath bitaye palo ki wo sogaten hain,
Bura na mano ham palko pe unko sajaten hain,
Jab aankh khule to teri tasveer samne paaten hain,
Band aankho me bas tera hi khawab sajaten hain,
Teri har aahat ko ham is kadar dil se lagaten hain,
Bas yahi kahna hain ki aap bahut yaad aaten hain !

__________________________


Kisi ke


Kisi ke dayare me rahkar ham
khush nahi hote,
Shabdo se Ghazal likhkar ham
gayak nahi hote,
Is kalam ko dil se lagate ham
Dil se wahi likhte,
Aaj yaha tak hain pahunche ham
jawab A Ghazal hain Likhte !
_______________________________


Yaun Kab kak tum khushi ko
Yaun Kab kak tum khushi ko
kaha kaha talasho ge,
Kabhi is dile a nadan se
kab tak puchhoge,
Raat ke gulak me khawaboo
ke sikke honge,
Chand dolat se kya palko pe
Khawab bun loge,
Kayanat A khushi se kya kahoge,
gam me khushi dhoondoge !

__________________________________


Kabhi lagta hain
Kabhi lagta hain thaki si hain ye Zindagi,
Waqt bewaqt rukh badalti hainye Zindagi,

Ek pal khawabao ko sajati hain ye Zindagi,
Duje pal chakna coor kar deti hain ye Zindagi,

Har pal kuch naya shikhati hain ye Zindagi,
Dil yahi kahta hain Aakhir kya hain ye Zindagi,
Har Harmusafir ki raah me manzil hoti hain Zindagi,
Har kadam sambhalkar chale ko kahti hain ye Zindagi

Ek anjani si aahat dastak deti hain kya Zindagi

Kya isi ka naam hain Ye Zindagi !

__________________________________



Aankho me aanshu ki kaonsi
Aankho me aanshu ki kaonsi ye jhil hain,
Zindagi ki tanhai ki koansi ye manzil hain !



Mera ye safar meri nazaro se aojhal hain,
Chalkati dhoop hi meri raah ka aachal hain !


Andheri raat me sitaron sebhara gagan hain,
Khilate aur mahkate phoolon ka chaman hain !


Zindagi ka daman khushiyon se anjaan hain,
Zindagi ke safar me musafir hi ek pahchan hain !


Aaj ek nai moar pe meri Zindagi ki dansta hain,
Ab to bas A- Zindagi mera tujhse hi wasnta hain !

___________________________________


Kiya hai jise pyar hamne
Kiya hai jise pyar hamne
Zindagi ki tara,
Woh aashiyana bhi mila hame
Ajnabi ki tarha,
Bas ek talash hain ab hame,
tamnna ki tarha,
Jo saath de mera har moar pe
bas jamane ki tarh,
Palko pe wo khawab sagenge
Aaine me tasveer ki tarha,
Ek ghazal ham aisi likh de
Gunje Tarane ki tarha !

______________________________


Badi muddat ke baad
Badi muddat ke baad mujhe siddat mili,
Aaj waqt ne saath chalne ki ibadat ki,
Waqt ke mohtaj kaisi ye uljhan jo huai,
Maot ne dastak dene se pahle ijajat jo li !
______________________________________


Badhte Kadam bhi
Badhte Kadam bhi sahme se huye hain,
Palko pe sapne kaise ruthhe huye hain,
Zindagi ke safar me kaante bechhe hain,
Bheed me ham is kadar ualjhe huye hain!

________________________________


Zindagi Ek khushnuma


Zindagi Ek khushnuma haseen pal hain,
Palko be bune khawabo ka kal hain
Jhuki nazaro ka barkhuba aanchal hain
bas mere yaar jaan le yahi Zindagi hain !
________________________________________


Waqt a Halat
Waqt A halat shabdo ki hain khamoshi,
haotho pe labzo ki kaisi hain behoshi,
Dile a haal muhabbat ki mahfil ho aisi,
Chand labzon ki gunj se tute mahfil ki khamoshi !

______________________________________


Wo shabd jo Koi Baat Kah Jaye
Wo shabd jo Koi Baat Kah Jaye,
Ek Ghazal jo wo naya Rup De Jaye,
Wo kasti Jo Shahil Tak Pahuchaye,
Sapno ki nagari me Koi Apna Mil Jaye !

_____________________________________


Tu yaad na aaye aisa koi din nahi

Chahkar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Dil se tera khayaal mitha nahi sakta,
Teri yadoon ko main kho nahi sakta,
Har pal har lamha tanha jee nahi sakta,
Bas ek he baat aaj dil mein hai,
Tere bina main jee nahi sakta.

____________________________________________














No comments:

ଅଜଣା ବାଟେ , ଅଜଣା ହାଟେ , ଝିଅ ଟିଏ ଦେଖିଲି …

ଅଜଣା  ବାଟେ , ଅଜଣା  ହାଟେ , ଝିଅ  ଟିଏ  ଦେଖିଲି … ପହିଲି  ଦେଖା , ମୁରୁକି  ହସ , ମନ  ଗଲା ଚହଲି … (ସେଇ ଅଚିହ୍ନା ଝିଅ ଟିକୁ , ସତେ  ଲାଗିଲା  ଦେଖୁ  ଦେଖୁ ...