Raju the real real virus boy

hmm Raju Mohanta i always confused boy !!!

Wednesday, August 26, 2009

पियार कुछ एहसास




Izhaar

payar se payara,payar ka izhaar hai
iske bina payar, adhura hai bekar hai
izhaar se hi to, payar shuru hota hai
izhaar ke baad hi, insaan sapne sanjota hai
payar ka izhaar, tedi kheer hai
per iske bina, na majnu na heer hai
jo insaan izhaar nahi karta, khamosh rehta hai
use sari umar bhar, iska afsos rehta hai



Dua

Jab bhi karu dua tere liye
woh dua kabul ho jaye
Agar bhul se bhi karu
dua tujhe bhulne ki
Toh woh dua kabul hone se pehle
khuda se bhul ho jaye



Aapki Baat Hi Kuch Aur Hai
Aap ki muskan ki baat hi kuch aur hai
Aapke saath bitaye pal ki baat hi kuch aur hai
Aap chahe toh humari saanso se pooch le
Aap nahi ho toh kya hua
Aapke sapno ki bhi baat hi kuch aur hai



Koi Deewana Kehta Hai

Koi Deewana Kehta hai
Koi pagal Samjhta hai
Magar dharti ki bechani ko
bus Badal hi Samjhta hai

Tu mujhse Dur kaisi hai
Main Tujhse dur Kaisa hun
Ye tera Dil samjhta hai Ya
Mera Dil samjhta hai



Vishwas
Khushbu Mein ehssas Hota Hai
Pyar Ka Rishta Khaas Hota Hai
Har baat Ko Zuban Se Kehna Mumkin Nahin
Isi Liye Pyar Ka Dusra Naam Vishwas Hota Hai

Subah-o-sham

HUM YAAD TUMHE KARTE HAI SUBAH-O-SHAM
KYA-KYA KHAYAL JEE SE GUZARTE HAIN SUBAH-O-SHAM
ZAKHAM NAYE DIL ME UBHARTE HAIN SUBAH-O-SHAM
SADIYA GUZAR GAI HAIN TUMHE BEWAFA HUE
HUM YAAD TUMHE AAJ BHI KARTE HAI SUBAH-O-SHAM
REH-REH KE,CHAUNK-CHAUNK KE MAIN NEED SE JAAGU
BAN-BAN KE MERE SAPNE BIKHARTE HAI SUBAH-O-SHAM
JAB-JAB TERI YAADO KI GHATA DIL PE CHHAI HAI
BADAL MERI AANKHO SE BARSTE HAI SUBAH-O-SHAM
PAL PAL MAI DEKHTI HU UTH KE RAHGUZAR KO
NAIN TERE DEEDAR KO TARASTE HAI SUBAH-O-SHAM
MAT POOCHO KYA AALAM-E-KHWAAB-O-UMID HAI
ANGAARE SE SEENE ME DEHAKTE HAI SUBAH-O-SHAM



Khilkhilata Chehra

Ye jo hai aapka khilkhilata chehra
Ban ke rehta hai mere dil ka sehra
Bas ise yu hi aap rakhna salamat
Kya pata kab kat jaye meri saanso ka pehra



Dil Ki Ek Aas

Dil mein hai ek hi aas
Kab hogi tum mere pass
Yaadon ke aashiyane mein
Ban ke rahogi aap meri saans



Dil Kahi Hosh Kahi

Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal
Har waqt khafa khafa rehta hai aajkal
Tum chhu lo to ye yakin aa jayega
Ke mujhme bhi koi rehta hai aajkal

Tanha pehle bhi tha lekin tanhai na thi
Ruswa sab se tha lekin ruswai na thi
Jane kya mil gya hai muje
Dil bahra bhara rehta hai aajkal
Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal

Ankh nam, sanse thami si hai
Zindigi me jane kya kami si hai
Kis se kahu, par kya kahu
Yahi soch kar dara dara sa rehta hai aajkal
Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal



Tum Yaad Humain Bhi Kr Lena

Ho raat akeli pichle peher
Aur Chand gagan mein aa jaye
Tum chand ki tarah tanha ho
ye baat tumhe tadpa jaye
Kuch khwab saja kar palkon pe
Tum chand se batein kar lena
Hum yaad tumhe to karte hain
tum Yaad humein bhi kar lena
Kuch baat na ho jab aise hi
num ankh Tumhari ho jaye
Tum bat kahi par karte ho
dil or Kahi par kho jaye
Jazbat ke aise alam mein
Muskan labon par bhar lena
Hum yaad tumhe to karte hain
Tum yaad humain bhi kr lena

Tumhari Yaad Aayi

Raat guzri phir mehkti hawa aayi
Dil dhadka phir tumhari yaad aayi
Aankho ne mehsoos kiya us hawa ko jo
Tumhe chhukar hamare paas aayi


Likh Diya Apne Dar Pe

Likh diya apne dar pe kisi ne
is jagah pyar karna mana hai
Pyar ho bhi jaye agar to
uska izhar karna mana hai
E-Dost khula hai jo jarokha
Kha na jana tum uska dokha
Us jagah ab shouk-e-didar karna mana hai
Humne arz ki ye banda parwar
kyoun sitam dha rahe ho tum hum par
Usne kaha hum se takrar karna mana hai



Tamanna Leke Ulfat Ki

Tamanna leke ulfat ki, mere aangan mein wo aya
mohabbat rog hai dil ka, use ye maine samjhaya
Kaha usne mohabbat kar, shareeke gham bana mujhko
karronga main zamaane ki, khushi se aashna tujhko
Hua majboor main yaaron, kia iqraar ulfat ka
laga di jaan ki baazi, samajh kar khel qismat ka
Hui maloom phir usko, haqeeqat ye zamaane se
use taskeen milti hai, kisika dil dukhaane se



Hum Tum Pe Marte Hai
Apni har ghazal me
tera hi zikr kiya karte hai
is baat ka kisi aur ko ilm na ho
yeh fikar kiya karte hai
hothon per baat hai ruki
jaane kyun kehne se darte hai
Aaj saari hadein todkar
kehte hai ke hum tumpe marte hai



Kimat
DIL KE BAJAAR ME KIMAT NAHI DEKI JATI
AGAR SIRAT HO ACHHI TO SURAT NAHI DEKHI JAT.
Pyaar

Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye
Kisi se pyaar na karna kbhi khuda ke liye
Jab lagegi ishq ki adalat ek din
Tum hi chune jaoge saza ke liye



Dil Ko Chhu Gayi Hai

Dil ko chu gayi hai aapki har baat
Dil bas chaahe aapse ek mulakaat
Dil mein hai aapke liye is kadar jazbaat
Ki pyar rahega tab tak
jab tak hai badalon mein barsaat



Dil To Na Jaane
Dil to na jaane aap ka naam
Dil ko nahi hai koi bhi kaam
Dil yehi maange har subah aur shaam
Ki rab de aapko har pal khushiyon bhara paigaam



Haal Tumhara
Ho gayi hai jo mohabbat unse
kaabu me nahin rehta dil hamara
Kho jata hoon khayalon me
Nazar aata hai chehra har pal tumhara
Ik tu hi to hai meri zindgi ka sahara
Ab to bata ae meri zindgi
kya haal hai tumhara



Raat Bhar Mere Sapne Mein

Raat bhar woh mere sapno mein aaye
Din bhar bhi woh mujhe bahut tadpaye
Ye kaisi hai doori ki sahi na jaye
Shayad yehi rista hai jo pyar kehlaye

Benoor Ankhon Mein Koi Khwab To De

Benoor ankhon mein koi khwab to de
Meri beqarar raaton ka kuch hisab to de
Tu khafa hai mujhse, lekin phir bhi agar ho sake
Mere in sawalon ka jawab to de
Humne jisme likhe the kuch wade
Agar mumkin hai to meri wo kitab to de
De nahi sakta agar pyar to aisa kar
Gham de, zehar de, koi azaab to de
Jis mein bheeg jaye mere dil ki dunya
Aisa koi in ankhon mein sailab to de
Kabhi tum kaha karte the ke aap ache hain
Ab bura hi sahi magar koi khitab to de



Unka Chehra

unka chehra tha ya aftab tha sham ka
meri nazro ne kaha nikla ye banda kam ka
wo chehre ka noor wo rang wo jamal aur kya khub tha unka naam
dekha na maine koi banda is naam ka
hawa bhi khush ho jati hai unke gesu chhukar
pani karta hai badan pe kaam jaam ka
pani pani ho jaaunga unke samne
uthaya ghunghat gar usne bas naam ka
unke ishq me main ab is tarah jinda hu
wajud hai badli ke pichhe jaise maahtab ka



PYAR KA PEHLA
PYAR KA PEHLA
ISHQ KA DOOSRA
AUR MOHABBAT KA TEESRA LAFZ
ADHOORA HOTA HAI
ISLIYE HUM TUMHE CHAAHTE HAI
KYUNKI CHAAHAT ME HAR EK LAFZ POORA HOTA HAI



Tera Chehra Hai

Tera chehra hi aaeene jaisa
kyoun na dekhun hai dekhne jaisa
Tera chehra hi aaeene jaisa
Tum kaho toh main puch loon tumse
hai sawal ek puchne jaisa
Dost mil jayenge kai lekin
naa milega koi mere jaisa
hum achanak mile they jab pahle
pal nahin hai woh bhulne jaisa
Tera chehra hai aaeene jaisa



Shart-e-wafa
Is zamane se hume koi gila nahi hai
Dil lagane me koi shart-e-wafa bhi nahi hai
Ishq me tere is kadar doobe huye hai
Khushi-o-gum ka hume zara bhi ilm nahi hai
Na dikhaya kabhi apna zakham-e-dil
Dard hota hai phir bhi dil ko daba rakha hai
Tujhe to bhool se bhi nahi bhool paate hai
Teri yaado ko to seene me chhupa rakha hai
Isaq me duniya jahan ki parwah nahi hoti hai
Bas tere lautne ka har-pal intzaar karte hai
Kab tak ye raaz tumse chhupaye rakhe dil me
zindagi se bhi zayada tumko payar karte hai


Benoor Ankhon Mein Koi Khwab To De

Benoor ankhon mein koi khwab to de
Meri beqarar raaton ka kuch hisab to de
Tu khafa hai mujhse, lekin phir bhi agar ho sake
Mere in sawalon ka jawab to de
Humne jisme likhe the kuch wade
Agar mumkin hai to meri wo kitab to de
De nahi sakta agar pyar to aisa kar
Gham de, zehar de, koi azaab to de
Jis mein bheeg jaye mere dil ki dunya
Aisa koi in ankhon mein sailab to de
Kabhi tum kaha karte the ke aap ache hain
Ab bura hi sahi magar koi khitab to de



Unka Chehra

unka chehra tha ya aftab tha sham ka
meri nazro ne kaha nikla ye banda kam ka
wo chehre ka noor wo rang wo jamal aur kya khub tha unka naam
dekha na maine koi banda is naam ka
hawa bhi khush ho jati hai unke gesu chhukar
pani karta hai badan pe kaam jaam ka
pani pani ho jaaunga unke samne
uthaya ghunghat gar usne bas naam ka
unke ishq me main ab is tarah jinda hu
wajud hai badli ke pichhe jaise maahtab ka



PYAR KA PEHLA

PYAR KA PEHLA
ISHQ KA DOOSRA
AUR MOHABBAT KA TEESRA LAFZ
ADHOORA HOTA HAI
ISLIYE HUM TUMHE CHAAHTE HAI
KYUNKI CHAAHAT ME HAR EK LAFZ POORA HOTA HAI



Tera Chehra Hai
Tera chehra hi aaeene jaisa
kyoun na dekhun hai dekhne jaisa
Tera chehra hi aaeene jaisa
Tum kaho toh main puch loon tumse
hai sawal ek puchne jaisa
Dost mil jayenge kai lekin
naa milega koi mere jaisa
hum achanak mile they jab pahle
pal nahin hai woh bhulne jaisa
Tera chehra hai aaeene jaisa



Shart-e-wafa

Is zamane se hume koi gila nahi hai
Dil lagane me koi shart-e-wafa bhi nahi hai
Ishq me tere is kadar doobe huye hai
Khushi-o-gum ka hume zara bhi ilm nahi hai
Na dikhaya kabhi apna zakham-e-dil
Dard hota hai phir bhi dil ko daba rakha hai
Tujhe to bhool se bhi nahi bhool paate hai
Teri yaado ko to seene me chhupa rakha hai
Isaq me duniya jahan ki parwah nahi hoti hai
Bas tere lautne ka har-pal intzaar karte hai
Kab tak ye raaz tumse chhupaye rakhe dil me
zindagi se bhi zayada tumko payar karte hai

Hamari Muskaan

Hontho mein ban ke rahoge jaise muskaan
Saanso mein humesha rahega aap hi ka armaan
Dil aapki khushi ke liye har pal karega aazan
Aur aapki khwaish puri ho chahe sab kuch ho kurbaan



Band Palko Ka Jadoo

Palko ke band hone se dikhte hai sapne
Dilo ke milne se bante hai anpne
Yaadon mein lage hai bas aaphi ke khawab sajne
Aur aapke saath hone se lagti hai khushiyaan dikhne



Humari Yaad

Tanhaayi me agar yaad aaye hum
mat karna apne dil pe sitam
jitni bunde aansu bahaaogi tum
utne din honge humari zindagi me kum



Khushnaseeb
Jab bhi in hoton par
naam tumhara aaya
Mit gaye saare gum
diwana dil muskuraya
Saanse ruk jati humari
logon ne itna rulaya
Aapke seene se lagkar
is dil ko chain aaya
Bhool gaye chubhte gum
aapne itna hasaya
Bohat khushnaseeb hai hum
jo hum ne aapko zindagi me paya



Ye Dil

Teri yaad teri hi khushbu se mehakata hai ye dil
Tere hi payar ke dam se behakta hai ye dil
Dhoondte the tanhai se door rehne ke bahane
Zindagi mil gai hai to machalta hai ye dil
Rakhte the kabhi baharo ki tamanna armaano me
Tum jo aaye zindagi me to khayalo me bhi gaata hai ye dil
Gam mile the kabhi to ab khushiya bhi nahi hai door
Dedi jo taqdeer ne dastak to chahakta hai ye dil
Na rahi saaki aur na kisi paimaane ki jarurat Tumko dekh khawab me bhi behakata hai ye dil
Karte hai maut ke waqt sabhi yaad-e-Elahi
Ho hontho pe tera hi naam kuchh aisi hi tamanna rakhta hai ye dil

Khafa-khafa Si

Hoon khud se hi kuchh khafa-khafa si main
Had se bhi ab to gauzarne lagi hu main
Chahat ke har dariya ko paar karne lagi hu main
Nadiya si tanhai me bhi behne lagi hu main
Kabra me soti hoon fir bhi khawab dekhne lagi hu main
Maut hoti hai uski, aur kafan odhne lagi hu main
Khud ki narazagi se bikharne lagi hu main
Teri banho ka ab to har pal intzaar karne lagi hu main
Ehal-e-dil Ehal-e-wafa tere liye jagane lagi hu main
Mere humdam door na ja tere pass aane lagi hu main
Khuda mujhe maaf kare teri ibaddat karne lagi hu main
Kiya hai khud se jo vaada har vaada nibhaungi main
Tujhse pehale tere payar me fanna ho jaungi main
Meri jaan fanna ho kar bhi teri rooh me sama jaungi main



Nazarein Churaate Hai Hum

Kyon apne hi dil se majboor ho jaate hai hum
Kyon paas rehte hue bhi door ho jaate hai hum
Kabhi duniya ke rushmo riwajo ki wajah seTo kabhi apne hi rishto naato ki wajah se
Kyon saath chalte hue bhi juda ho jaate hai hum
Kabhi aahato se pehchaan lete the ek dusare ko
To kabhi bin kuchh bole samajh lete the ek dusare ko
Kyon kabhi saamne aate hi anjaane ban jaate hai hum
Kabhi sapno me hoti thi roj mulakate
To kabhi khayalo me hoti thi bahut si baate
Kyon aaj ek dusare se nazarein churaate hai hum



Meri Nanhi Si Jaan Hai

Naam Mohabbat Ka Lena
Kitna Aasaan Hai
Magar Ye Dil Bhi Kambakht
Kitna Shaitaan hai
Shaitaaniya karta hai Khud
Or Rulata Hai Mujh Ko
Aye Khud Garj Nahi Pata Kya
Mere Dil Ka Haal Tujh Ko
Tere Liye Kuchh Bhi Kehna Boht Aasaan Hai
Aye Kambakht Tere Mein Hi To Atki
Meri Nanhi Si Jaan Hai



Fariyaad Puri Hai
By : Manpreet Singh (Views : 420)
Ik Fariyaad Layi
Dil Sache Da Hona Zaruri Hai
Sajna Nu Na Mil Pana
Hundi Thodi Majburi Hai
Kiti Jhuthe Dilon Fariyaad
Rehndi Hamesha Adhuri Hai
Jo Kare Sache Dilon Yaad
Hundi Ohdi Har Fariyaad Puri Hai



Shohrat Milti Hai Kabhi Kabhi
Shohrat Milti Hai Kabhi Kabhi
Aur Daulat Milti Hai Kabhi Kabhi
Yoon To Pyar Kayin Baar Mil Jata Hai
Magar Pyar Ka Izhar Karne Ki Mohlat Milti Hai Kabhi Kabhi

Kon Kis Ka
kon kis ka habeeb hota hai
apna apna naseeb hota hai
yaad karta hai jab bhi azeez koi
dard dil ke kareeb hota hai



Taklif Nahi Hoti

Taklif nahi hoti ishq me aansu bahane me
dard nahi hota apna khoon bahane me
taklif to tab hoti hai jab naadan baithta hai koi
wapas na aane wale ke lambe intezaar me



Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan
Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan
Meri Khamoshi Ko Sada Na De
Jo Tere Bagair Na Ji Sake
Use Jeene Ki Tu Duaa Na De

Tu Azeez Dil-o-nazar Ke Hai
Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Ye Faasla
Kaheen Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar
Meri Chahatoon Ka Sila Na De

Wo Tadap Jo Shola-e-jaan Mein Thi
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe gar Milein Kabhi Fursatein
Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
Jo Qatal Karna Hai To Qatal Kar
Yoon Judaiyon Ki Sazaa Na De



MOHABBAT KE SAFAR MAIN

Mohabbat ke Safar mein wo saathi chhoot jaate hain
jinhe aankhen sajati hain wo sapne tut jaate hain



HAR RAH SE
Har Raho Se Hum Aapki Raah Ko Saza Denge
sapno ki daulat ham aap par luta denge
na koi phool hai aaj mere daman me
lekin apke aane par ham apni palke bichha denge

Har Lamha Har Pal

Har lamha har pal
har minute, har ghanta
har din aur har raat
dil chahe bas tera sath
tere sath se milta sukoon hai
tera pyar pana hi meri jindgi ka ab junoon hai



Besabri Se Intazar
Dil ko tha aapka besabri se intazar
Palke bhi thi aapki ek jhalak ko bekarar
Aapke aane se aayi hai kuchh aisi bahar
Ki dil bas maange aapke liye khushiyaan beshumar



Bas Tu Hi
Tu hi muraad meri
tu hi dua
tu hi hai ibaadat
Tu hi khwaahish meri
tu hi matlab
tu hi hai raghbat
Tu hai aarzoo meri
tu hi aas
tu hi hai aasha
Tu hi armaan mera
tu hi tishnagi
tu hi hai iraada
Tu hi chaah meri
tu hi hasrat
tu hi hai hausala



Pyaar Ki Baarish Ka Intezaar

Ek shaam teri ankhon ki gehraayio me doo guzaar
Teri seerat me kho jane ke liye hoo taiyaar
Tere pyaar ki baarish ka hum besabri se karenge intezaar
Hum ab tere ho chuke lakh kare tu hamme inkaar



Nam Aankhein

nam ankhon se vida kiya tha
aur aankhein ab tak nam hai
yaad kyun karte ho humein
hum to aapke saath har dum hai
laut ke jaldi aayenge vaapis
humein aapki kasam hai

ଅଜଣା ବାଟେ , ଅଜଣା ହାଟେ , ଝିଅ ଟିଏ ଦେଖିଲି …

ଅଜଣା  ବାଟେ , ଅଜଣା  ହାଟେ , ଝିଅ  ଟିଏ  ଦେଖିଲି … ପହିଲି  ଦେଖା , ମୁରୁକି  ହସ , ମନ  ଗଲା ଚହଲି … (ସେଇ ଅଚିହ୍ନା ଝିଅ ଟିକୁ , ସତେ  ଲାଗିଲା  ଦେଖୁ  ଦେଖୁ ...