Raju the real real virus boy

hmm Raju Mohanta i always confused boy !!!

Tuesday, March 29, 2011

My Favorite

Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe, Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye. Daav par hote hain dil o jaan yahaan, Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye. Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si.. Rukte kadam phir aage baR gaye. Na jeet hui, na haari baazi humne.. Kabhi khudse, kabhi kismat se laR gaye.



Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....




Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida



Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi Kise majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

No comments:

ଅଜଣା ବାଟେ , ଅଜଣା ହାଟେ , ଝିଅ ଟିଏ ଦେଖିଲି …

ଅଜଣା  ବାଟେ , ଅଜଣା  ହାଟେ , ଝିଅ  ଟିଏ  ଦେଖିଲି … ପହିଲି  ଦେଖା , ମୁରୁକି  ହସ , ମନ  ଗଲା ଚହଲି … (ସେଇ ଅଚିହ୍ନା ଝିଅ ଟିକୁ , ସତେ  ଲାଗିଲା  ଦେଖୁ  ଦେଖୁ ...